bhule afsane wafa ke yaad dilwate hue
tum to aae aur dil ki aag bhaDkate hue
mauj-e-mai bal kha gai gul ko jamai aa gai
zulf ko dekha jo us aariz pe lahraate hue
be-murawwat yaad kar le ab to muddat ho gai
teri baaton se dil-e-muztar ko bahlate hue
nind se uTh kar kisi ne is tarah aankhen malin
subh ke tare ko dekha aankh jhapkate hue
hum to uTThe jate hain lekin bata de is qadar
kis ke dar ki KHak chhane tere kahlate hue
jhaD kar daman 'asar' jis bazm se uTh aae the
aaj phir dekhe gae hazrat udhar jate hue
Ghazal
Bhule afsane wafa ke yaad dilwate hue
Asar Lakhnavi