bhul na us ko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai
shakl numayan hogi sahar ki chaunk musafir raat nahin hai
aankhen malte sehn-e-chaman mein jhum ke uTThe nind ke mate
dekh saba ne aa ke KHabar ki chaunk musafir raat nahin hai
nile nile rang ke upar baDhti hi jati hai safedi
ho gai rangat zar-o-qamar ki chaunk musafir raat nahin hai
zor na taqat sang na sathi panw se apne aap hai chalna
tujh pe hai bhaari rah-e-safar ki chaunk musafir raat nahin hai
tujh pe main qurban jaani pyare ham-nafas-o-ham-dard hamare
tujh se hai ulfat main ne KHabar ki chaunk musafir raat nahin hai
pankh-pakheru KHwab se chaunke sab ne KHushi ke nare mare
aai sada murghan-e-sahar ki chaunk musafir raat nahin hai
kuch ki saat aa gai sar par 'shad' uTha le jholi-bistar
nind mein sari raat basar ki chaunk musafir raat nahin hai
Ghazal
Bhul na usko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai
Shad Azimabadi