bhul jaana tha to phir apna banaya kyun tha
tum ne ulfat ka yaqin mujh ko dilaya kyun tha
ek bhaTke hue rahi ko sahaara de kar
jhuTi manzil ka nishan tum ne dikhaya kyun tha
KHud hi tufan uThana tha mohabbat mein agar
Dubne se meri kashti ko bachaya kyun tha
jis ki tabir ab ashkon ke siwa kuchh bhi nahin
KHwab aisa meri aankhon ko dikhaya kyun tha
apne anjam pe ab kyun ho pasheman 'saba'
ek bedard se dil tum ne lagaya kyun tha
Ghazal
Bhul jaana tha to phir apna banaya kyun tha
Saba Afghani