اردو हिंदी
Bhul ja mat rah kisi ki yaad mein khoya hua | Shaahi Shayari
bhul ja mat rah kisi ki yaad mein khoya hua

Ghazal

Bhul ja mat rah kisi ki yaad mein khoya hua

Hamid Jeelani

;

bhul ja mat rah kisi ki yaad mein khoya hua
is andhere ghaar mein kuchh bhi nahin rakkha hua

raushni mil jae to matlab ibarat ka samajh
hai kitab-e-KHak mein kalak se kuchh likkha hua

chhu ke jab dekha mujhe behad pashemani hui
wahm ka paikar tha mere samne baiTha hua

is makan mein der se shayad koi rahta nahin
dar khule dalan sara kai mein Duba hua

jagta hai phir bhi aankhon mein hai manzar nind ka
KHwab ki surat hun us ke har taraf phaila hua

sab ke sab 'hamid' yahan gum-sum hain apne-ap mein
hun khilaunon se saje bazar mein aaya hua