اردو हिंदी
Bhul gaya KHushki mein rawani | Shaahi Shayari
bhul gaya KHushki mein rawani

Ghazal

Bhul gaya KHushki mein rawani

Arman Najmi

;

bhul gaya KHushki mein rawani
dariya mein tha kitna pani

gunj rahi hai sannaTe mein
ek sada jaani pahchani

sardi garmi barish patjhaD
sari ruten hain aani jaani

yaaden hath chhuDa leti hain
ho jati hai baat purani

donon jale bhi donon bujhe bhi
ek hue jab aag aur pani

phir dukh ji ko lag jata hai
sath nahin deti hairani

andhiyaron ki aadi duniya
mange suraj se tabani

ek lamha qadmon se lipaT kar
lauT gai mauj-e-imkani