bhuki hai zamin bhuk ugalti hi rahegi
ye bhuk mere peT mein palti hi rahegi
jiwan bhi mera dasht hai maskan bhi mera dasht
honTon pe mere pyas machalti hi rahegi
dil mein nahin ab pas raha chain sukun ka
ek aag si dil mein hai ubalti hi rahegi
hasti ke ujaDne ka bhala dukh mujhe kyun ho
ye Thokaren kha kha ke sambhalti hi rahegi
chehre nae andaz nae taur nae hain
duniya hai ye sau rang badalti hi rahegi
mazkur karen kya dil-e-majbur ka 'naqid'
ek huk hai sine se nikalti hi rahegi
Ghazal
Bhuki hai zamin bhuk ugalti hi rahegi
Shabbir Naqid