bhuk se bachche bilakte hain na jaane kitne
aur pani mein baha dete hain dane kitne
ek tamanna ka hua KHun to kya gham ai dost
dafn hain sine mein arman na jaane kitne
kabhi auron ki kabhi apni himaqat ke tufail
hath aate rahe hansne ke bahane kitne
zindagi ek haqiqat bhi hai afsana bhi
har gali-kuche mein bikhre hain fasane kitne
ek gul-e-taza ki taKHliq mein ai gulchino
jaane qudrat ne luTae hain KHazane kitne
meri rudad ko sab apna fasana samjhe
ek fasane mein hain poshida fasane kitne
hausla baKHsha hai jine ka unhi KHwabon ne
hum ne dekhe hain 'KHalish' KHwab suhane kitne
Ghazal
Bhuk se bachche bilakte hain na jaane kitne
Khalish Kalkatvi