bhulata hun magar gham ki daraKHshani nahin jati
wo aaina muqabil hai ki hairani nahin jati
nigah-e-shauq se ta-der hairani nahin jati
shabab aaya to zalim shakl pahchani nahin jati
tujhe dekhun ki tere iltifat-e-narm ko samjhun
mohabbat bhi tere jalwon mein pahchani nahin jati
sahab o sail dho sakte nahin gard-e-falakat ko
bahaar aai magar duniya ki virani nahin jati
kahan tak sath de sakti hain aankhen sozish-e-dil ka
bahut roya magar gham ki giran-jaani nahin jati
jawani ko gunahon se alag karna nahin mumkin
ye wo mai hai jo fart-e-kaif se chhani nahin jati
mohabbat tar-tar-e-pairahan kar apne kanTon se
ki in phulon se meri tang-damani nahin jati
'nushur' is waqt bhi duniya asir-e-mulak-o-daulat hai
abhi fikr o nazar ta-hadd-e-insani nahin jati
Ghazal
Bhulata hun magar gham ki daraKHshani nahin jati
Nushur Wahidi