bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do
jis se baDhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do
rasmen is andher-nagri ki nai nahin ye purani hain
mehr pe Dalo raat ka parda mah ko raushan rahne do
ruh nikal kar bagh-e-jahan se bagh-e-jinan mein ja pahunche
chehre pe apne meri nigahen itni der to rahne do
KHanda-e-gul bulbul mein hoga gul mein naghma bulbul ka
qissa ek zabanen do hain aap kaho ya kahne do
itna junun-e-shauq diya kyun KHauf jo tha ruswai ka
baat karo KHud qabil-e-shikwa ulTe mujh ko rahne do
Ghazal
Bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do
Arzoo Lakhnavi