bhini bhini dard ki KHushbu luTane ke liye
phul khilte hain chaman mein muskurane ke liye
har gul-e-tahzib ko haq hai ki wo khilta rahe
is riyaz-e-dahr mein KHushbu luTane ke liye
yun simaTna bhi hai koi zindagi ai dosto
zindagi hai wusat-e-alam pe chhane ke liye
kuchh fareb-e-rang-o-bu mein aa hi jata hai bashar
warna ye duniya nahin hai dil lagane ke liye
ek jogan ne baha kar gyan ki ganga kaha
gyan hi kailash hai shankar ko pane ke liye
dosti mein hai baja 'pankaj' sawal-e-shauq bhi
hoti hai yari magar qurban jaane ke liye

Ghazal
Bhini bhini dard ki KHushbu luTane ke liye
Pankaj Sarhadi