اردو हिंदी
Bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate | Shaahi Shayari
bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate

Ghazal

Bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate

Meraj Faizabadi

;

bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate
hum se ab itne samundar nahin dekhe jate

us se milna hai to phir sada-mizaji se milo
aaine bhes badal kar nahin dekhe jate

waza-dari to buzurgon ki amanat hai magar
ab ye bikte hue zewar nahin dekhe jate

zinda rahna hai to haalat se Darna kaisa
jang lazim ho to lashkar nahin dekhe jate