bhigi palken shauq ka aalam waqt ka dhaara kya nahin dekha
hanste aansu talKH tabassum miTha ghussa kya nahin dekha
chhalni sine raushan chehre KHunin aankhen rangin daman
ThanDi aahen viran nazren hashr-e-tamanna kya nahin dekha
rah pe pahre nutq pe qadghan shauq ki yurish dil ki dhaDkan
bolti nazren bojhal palken ghamgin chehra kya nahin dekha
soti qismat jagte insan ujDi basti sham-e-farozan
jhuTe qisse ulTi tohmat baat ka banna kya nahin dekha
bikhri zulfen uljhi baaten aankh mein shoKHi lab pe tabassum
khalti kaliyan jhumti Dali hashr sarapa kya nahin dekha
bazm-e-charaghan jhuTi KHushiyan naKHwat-e-saqi tishna-dahani
gardish-e-saghar aalam-e-masti tundi-e-saba kya nahin dekha
phul si bahen larzan sina sans ulajhte bholi baaten
nichi nazren pahli laghzish dil ka taqaza kya nahin dekha
'yawar' hum ko pa na sakoge jaise ab hain aise kab the
dil ki nazakat jurm-e-mohabbat kufr-e-tamanna kya nahin dekha
aaj bhi 'yawar' hanste hanste aankh mein aansu aa jate hain
dard ki maujen KHun ki lahren aag ka dariya kya nahin dekha

Ghazal
Bhigi palken shauq ka aalam waqt ka dhaara kya nahin dekha
Yawar Abbas