bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chhoD ke mat jao kahin ghar na milega
phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
aansu ko kabhi os ka qatra na samajhna
aisa tumhein chahat ka samundar na milega
is KHwab ke mahaul mein be-KHwab hain aankhen
jab nind bahut aaegi bistar na milega
ye soch lo ab aaKHiri saya hai mohabbat
is dar se uThoge to koi dar na milega
Ghazal
Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
Bashir Badr