اردو हिंदी
BhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai | Shaahi Shayari
bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

Ghazal

BhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

Meraj Faizabadi

;

bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai
zindagi mujh ko akela bhi nahin chhoDti hai

aafiyat ka koi gosha bhi nahin chhoDti hai
aur duniya mera rasta bhi nahin chhoDti hai

mujh ko ruswa bhi bahut karti hai shohrat ki hawas
aur shohrat mera pichha bhi nahin chhoDti hai

hum ko do ghonT ki KHairaat hi de do warna
pyas pagal ho to dariya bhi nahin chhoDti hai

aabru ke liye roti hai bahut pichhle pahar
ek aurat ki jo pesha bhi nahin chhoDti hai

Dubne wale ke hathon mein ye pagal duniya
ek TuTa hua tinka bhi nahin chhoDti hai

ab ke jab ganw se lauTe to ye ehsas hua
dushmani KHun ka rishta bhi nahin chhoDti hai

kya mukammal hai judai ki bichhaD jaane ke baad
tujh se milne ka bahana bhi nahin chhoDti hai

jaante sab the ki nafrat ki ye kali aandhi
dasht to dasht hain dariya bhi nahin chhoDti hai