bhiD mein ek ajnabi ka samna achchha laga
sab se chhup kar wo kisi ka dekhna achchha laga
surmai aankhon ke niche phul se khilne lage
kahte kahte kuchh kisi ka sochna achchha laga
baat to kuchh bhi nahin thin lekin us ka ek dam
hath ko honTon pe rakh kar rokna achchha laga
chae mein chini milana us ghaDi bhaya bahut
zer-e-lab wo muskuraata shukriya achchha laga
dil mein kitne ahd bandhe the bhulane ke use
wo mila to sab irade toDna achchha laga
be-irada lams ki wo sansani pyari lagi
kam tawajjoh aankh ka wo dekhna achchha laga
nim-shab ki KHamoshi mein bhigti saDkon pe kal
teri yaadon ke jilau mein ghumna achchha laga
is adu-e-jaan ko 'amjad' main bura kaise kahun
jab bhi aaya samne wo bewafa achchha laga
Ghazal
BhiD mein ek ajnabi ka samna achchha laga
Amjad Islam Amjad