اردو हिंदी
BhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen | Shaahi Shayari
bhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen

Ghazal

BhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen

Aitbar Sajid

;

bhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen
aa mere dil mere gham-KHwar kahin aur chalen

koi khiDki nahin khulti kisi baghiche mein
sans lena bhi hai dushwar kahin aur chalen

tu bhi maghmum hai main bhi hun bahut afsurda
donon is dukh se hain do-chaar kahin aur chalen

DhunDte hain koi sarsabz kushada si faza
waqt ki dhund ke us par kahin aur chalen

ye jo phulon se bhara shahr hua karta tha
us ke manzar hain dil-azar kahin aur chalen

aise hangama-e-mahshar mein to dam ghuTta hai
baaten kuchh karni hain is bar kahin aur chalen