اردو हिंदी
BhiD aisi hai ki mujhko rasta milta nahin | Shaahi Shayari
bhiD aisi hai ki mujhko rasta milta nahin

Ghazal

BhiD aisi hai ki mujhko rasta milta nahin

Jameel Yusuf

;

bhiD aisi hai ki mujh ko rasta milta nahin
gul koi khilta nahin shoala koi uThta nahin

ai mere shauq-e-talab tere junun ki KHair ho
tu ne kya had-e-nigah ka fasla dekha nahin

ai ghurur-e-husn main tere badan ka aks hun
mahw-e-hairat hun ki tu ne mujh ko pahchana nahin

ek pal mein ye rida-e-ab mein chhup jaengi
rang ki lahron ke pichhe bhagna achchha nahin

dil jahan le jae dil ke sath jaana chahiye
is se baDh kar aur koi rahnuma hota nahin

jis ke jalwaon ne azal se muztarib rakkha mujhe
wo to mere samne bhi aaj tak aaya nahin