bhes kya kya na zamane mein banae hum ne
ek chehre pe kai chehre lagae hum ne
is tamanna mein ki is rah se tu guzrega
dip har rah mein har raat jalae hum ne
dil se nikli na KHarash-e-gham-e-ayyam ki dhup
tere naKHun se kai chand banae hum ne
daman-e-yar ne haq apna jataya na kabhi
ashk umDe bhi to palkon mein chhupae hum ne
KHud hue gharq zamane ko bhi gharqab kiya
ek aansu se wo tufan uThae hum ne
tere pahlu se bhi pahunche na tere pahlu tak
fasle qurb ke go lakh ghaTae hum ne
chehre katbe sahi katbon ki ibarat pe na ja
abhi lafzon se kahan parde uThae hum ne
sher kahne se na mahbub na duniya hi mili
umr-bhar sher kahe sher sunae hum ne
Ghazal
Bhes kya kya na zamane mein banae humne
Sulaiman Areeb