bhauwen chaDhi hain aur hai tewar jhuka hua
kuchh aaj bolta hai wo hum se ruka hua
jo chahta hai dil ko mere dil-dahi kare
sauda ye hai qadim se yunhi chuka hua
oson gai hai pyas kahin dida-e-namin
bujhta hai aansuon se kahan dil phunka hua
ayyub sabir aur wo kanan ke pir se
mere se zor-o-shor ka sabr-o-buka hua
un chitwanon churae dabe panw 'azfari'
dekho kidhar chala hai chhapa aur luka hua
Ghazal
Bhauwen chaDhi hain aur hai tewar jhuka hua
Mirza Azfari