bhaTki hai ujalon mein nazar sham se pahle
ye sham Dhale ka sa asar sham se pahle
sakte mein sisakte hue tabut khulenge
achchha hai nikal jae ye Dar sham se pahle
wo razmiya paDhte hain wo uksate hain mujh ko
jati hui kirnon ke bhanwar sham se pahle
main Tile pe baiTha to suni shahr ki siski
dekhe mere aangan mere ghar sham se pahle
ai subh ke tare ki ziya os ki ThanDak
ek roz meri chhat pe utar sham se pahle
is bar shab-e-chaar-dahum kuchh to parakhna
phir kaT na dena mere par sham se pahle
wo qumqume bazar ke mujh se hain shanasa
us samt bhi jata hun magar sham se pahle
main dard ke qasbe mein bahut der se pahuncha
bik jate hain sab taza samar sham se pahle

Ghazal
BhaTki hai ujalon mein nazar sham se pahle
Sajjad Babar