bhaTke hue aali se puchho ghar wapas kab aaega
kab ye dar-o-diwar sajenge kab ye chaman lahraega
sukh chale wo ghunche jin se kya kya phul ubharne the
ab bhi na un ki pyas bujhi to ghar jangal ho jaega
kam kirnen aisi hain jo ab tak rah usi ki takti hain
ye andhiyara aur raha to phir na ujala aaega
samjha hai apne-ap se chhuT kar sara zamana dekh liya
dekhna! apne-ap mein aa kar ye kya kya sharmaega
aisi gyan aur dhyan ki baaten hum jaane-pahchanon se
tu aaKHir bhula hi kya tha tujh ko kya yaad aaega
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke
in se hi jiwan banta hai so jiwan ban jaega
chaar baras se begane hain so hum kya begane hain
ruThne wala jiwan-sathi do din mein man jaega
kis kis rag ke kya kya sur hain kis kis sur ke kya kya rag
sikhe na sikhe gane wala be-sikhe bhi gaega
'ali'-ji ab aap chalo tum apne bojh uThae
sath bhi de to aaKHir pyare koi kahan tak jaega
Ghazal
BhaTke hue aali se puchho ghar wapas kab aaega
Jameeluddin Aali