اردو हिंदी
BhaTakta phir raha hun justuju bin | Shaahi Shayari
bhaTakta phir raha hun justuju bin

Ghazal

BhaTakta phir raha hun justuju bin

Jaun Eliya

;

bhaTakta phir raha hun justuju bin
sarapa aarzu hun aarzu bin

koi is shahr ko taraj kar de
hui hai meri wahshat ha-o-hu bin

ye sab mojiz-numai ki hawas hai
rafugar aae hain tar-e-rafu bin

maash-e-be-dilan puchho na yaro
numu pate rahe rizq-e-numu bin

guzar ai shauq ab KHalwat ki raaten
guzarish bin gila bin guftugu bin