bhaTak rahi hai ruh ke andar lazzat sukhi gili si
jaise rasta bhul gai ho ek nadi pathrili si
mere us ke bich ka rishta ek majbur zarurat hai
main sukhe jazbon ka indhan wo machis ki tili si
dekhun kaisi fasl ugata hai mausam tanhai ka
dard ke bij ki nasl hai unchi dil ki miTTi gili si
darwaze par munh laTkae qillat rang-o-roghan ki
aangan aangan jashn manae KHwahish nili pili si
mujh ko banT ke rakh deti hai dhup chhanw ke KHemon mein
kuchh be-ghairat si masrufi kuchh fursat sharmili si
din bhar ki jaan-soz thakan ka ajr chukane ko 'KHurshid'
sham ke parbat par baiThi hai ek saat nokili si
Ghazal
BhaTak rahi hai ruh ke andar lazzat sukhi gili si
Khursheed Akbar