اردو हिंदी
BhaTak rahi hai ata KHalq-e-be-aman phir se | Shaahi Shayari
bhaTak rahi hai ata KHalq-e-be-aman phir se

Ghazal

BhaTak rahi hai ata KHalq-e-be-aman phir se

Ata ul Haq Qasmi

;

bhaTak rahi hai 'ata' KHalq-e-be-aman phir se
saron se khinch liye kis ne saeban phir se

dilon se KHauf nikalta nahin azabon ka
zamin ne oDh liye sar par aasman phir se

main teri yaad se nikla to apni yaad aai
ubhar rahe hain miTe shahr ke nishan phir se

teri zaban pe wahi harf-e-anjuman-ara
meri zaban pe wahi harf-e-raegan phir se

abhi hijab sa hail hai darmiyan mein 'ata'
abhi to honge lab-o-harf raaz-dan phir se