bhaTak rahe hain gham-e-agahi ke mare hue
hum apni zat ko patal mein utare hue
sada-e-sur-e-sarafil ki rasan-basta
palaT ke jaenge ek roz hum pukare hue
shikast-e-zat shikast-e-hayat bhi hogi
ki ji na paenge hum hauslon ko haare hue
ai mere aaina-ru ab kahin dikhai de
ek umr bit gai KHal-o-KHad sanware hue
mata-e-jaan hain meri umr bhar ka hasil hain
wo chand lamhe tere qurb mein guzare hue
zamin pe zarra-e-be-nam the magar 'shahbaz'
bulandiyon pe pahunch kar hamin sitare hue
Ghazal
BhaTak rahe hain gham-e-agahi ke mare hue
Shahbaz Khwaja