bhaTak jate hain rahbar rahbari mein
kuchh aisi manzilen hain zindagi mein
pata kaise mile us lapata ka
jo gum rahta ho apne aap hi mein
KHabar-dar ai meri wahshat KHabar-dar
koi laghzish na ho diwangi mein
na yunhi be-KHudi mein gum hai koi
nihan raaz-e-KHudi hai be-KHudi mein
farishte bhi samajhne se hain qasir
bashar kya hai libas-e-admi mein
tumhein hai raushni par naz lekin
nihan hai tirgi bhi raushni mein
hasin taKHil ki paikar-tarashi
na ho 'kausar' to kya hai shaeri mein
Ghazal
BhaTak jate hain rahbar rahbari mein
Kausar Siwani