bharpur mohabbat ka elan mukammal hai
us nim-nigahi ka farman mukammal hai
ya dushman-e-jaan mujh par sach-much hai karam-farma
ya meri tabahi ka saman mukammal hai
kis chaw se ek basti jo hum ne basai thi
dekha tha wahi basti viran mukammal hai
zaKHmon pe mere tu ne jis tarah namak chhiDka
is nim inayat ka ehsan mukammal hai
har moD pe milta hai allah ka wo banda
qalib mein jo insan ke shaitan mukammal hai
ai 'saz' mere dil mein ab jaan nahin baqi
go KHun ka rag rag mein dauran mukammal hai
Ghazal
Bharpur mohabbat ka elan mukammal hai
Mahmood Beg Saaz