bhari mahfil mein tanhai ka aalam DhunD leta hai
jo aae ras dil aksar wo mausam DhunD leta hai
kisi lamhe akela-pan agar mahsus ho dil ko
KHayal-e-yar ke daman se kuchh gham DhunD leta hai
kisi rut se rahe mashrut kab hain roz-o-shab mere
jahan jaisa ye chahe dil wo mausam DhunD leta hai
gham-e-furqat ka dil ko bojh karna ho agar halka
sunane ko tere qisse ye hamdam DhunD leta hai
judai kab rahi mumkin kisi haalat koi surat
mujhe mahfil ho tanhai tera gham DhunD leta hai
rahe yun naz apne zehn par lahaq ghamon mein bhi
KHushi ka ek na ek pahlu ye taham DhunD leta hai
KHayal-e-yar hi darman gham-e-furqat ke zaKHmon ka
ki bite sath lamhon se ye marham DhunD leta hai
Ghazal
Bhari mahfil mein tanhai ka aalam DhunD leta hai
Shafiq Khalish