bhari bahaar mein daman-e-darida hain hum log
hamein tha zoam bahaar-afrida hain hum log
ye aur baat ki daman-darida hain hum log
ba-faiz-e-ishq magar sar-kashida hain hum log
hum aaina hain magar aks-e-zat se mahrum
teri sada hain magar na-shunida hain hum log
jahan jahan bhi gae hain mahak uThi hai faza
tere firaq ki bu-e-rasida hain hum log
kaDi hai dhup shajar hai na saya-e-diwar
bichhaD ke us se sukun-na-chashida hain hum log
ye kis ne aaina-sazi ka fan kiya ijad
ye aaine hain ki chehra-burida hain hum log
Ghazal
Bhari bahaar mein daman-e-darida hain hum log
Raaz Muradabadi