bhare safar mein ghaDi-bhar ka aashna na mila
shadid pyas mein sahra sarab sa na mila
guzar gae to hazaron nishan the pahle se
palaT ke aae to apna hi naqsh-e-pa na mila
kabhi jo dhup to paikar pighal gae sare
koi bhi naqsh mujhe mere KHwab sa na mila
ruke hue sabhi aansu chhalak gae lekin
wo shaKHs phir bhi nigahon se bolta na mila
Thahar gai thi mere pas chandni ki use
tumhaare shahar mein koi bhi jagta na mila
hawa ke sath hi aawaz lauT aai hai
KHala mein phirti rahi koi ham-nawa na mila
chala to meri nazar mein hazar rahen thin
bhaTak gaya to mujhe ghar ka rasta na mila

Ghazal
Bhare safar mein ghaDi-bhar ka aashna na mila
Hasnain Jafri