bhare hue jam par surahi ka sar jhuka to bura lagega
jise teri aarzu nahin tu use mila to bura lagega
ye aisa rasta hai jis pe har koi barha laDkhaDa raha hai
main pahli Thokar ke baad hi gar sambhal gaya to bura lagega
main KHush hun us ke nikalne par aur itna aage nikal chuka hun
ke ab achanak se us ne wapas bula liya to bura lagega
ye aaKHiri kanpkanpata jumla ki is talluq ko KHatm kar do
baDe jatan se kaha hai us ne nahin kiya to bura lagega
na jaane kitne ghamon ko pine ke baad tabish chaDhi udasi
kisi ne aise mein aa ke hum ko hansa diya to bura lagega
Ghazal
Bhare hue jam par surahi ka sar jhuka to bura lagega
Zubair Ali Tabish