bhare hain us pari mein ab to yaro sar-ba-sar moti
gale mein kan mein nath mein jidhar dekho udhar moti
koi bundon se mil kar kan ke narmon mein hilta hai
ye kuchh lazzat hai jab apna chhidate hain jigar moti
wo hanste hain to khulta hai jawahir-KHana-e-qudrat
idhar lal aur udhar nilam idhar marjaan udhar moti
falak par dekh kar tare bhi apna hosh khote hain
pahan kar jis ghaDi baiThe hai wo rashk-e-qamar moti
jo kahta ho are zalim Tuk apna nam to batla
to hans kar mujh se ye kahti hai wo jadu nazar moti
wo dariya motiyon ka hum se ruTha ho to phir yaro
bhala kyunkar na barsa de hamari chashm-e-tar moti
'nazir' is reKHte ko sun wo hans kar yun lagi kahne
agar hote to main deti tujhe ek thaal bhar moti
Ghazal
Bhare hain us pari mein ab to yaro sar-ba-sar moti
Nazeer Akbarabadi