bhara hua teri yaadon ka jam kitna tha
sahar ke waqt taqaza-e-sham kitna tha
ruKH-e-zawal pe rang-e-dawam kitna tha
ki ghaT ke bhi mera mah-e-tamam kitna tha
tha tere naz ko kitna meri ana ka KHayal
mera ghurur bhi tera ghulam kitna tha
jo pau phaTi to har ek dastan tamam hui
ajab ki un ke liye ehtimam kitna tha
unhin ko yaad kiya jab to kuchh na yaad aaya
wo log jin ka zamane mein nam kitna tha
abhi shajar se judai ke din na aae the
paka hua tha wo phal phir bhi KHam kitna tha
wahan to koi na tha ek apne gham ke siwa
mere makan pe magar izhdiham kitna tha
Ghazal
Bhara hua teri yaadon ka jam kitna tha
Mazhar Imam