bhara ghar hai koi sahra nahin hai
yahan lekin koi apna nahin hai
ghazab hai ho gaya bargad bhi indhan
buzurgon ka kahin saya nahin hai
musibat mein bhi daman-e-sharafat
hamare hath se chhuTa nahin hai
tamashai hun yun apne ghamon ka
ki jaise dard-o-gham dekha nahin hai
mohabbat ki kiran phuTi hai dil se
kitabon se use sikha nahin hai
yahi ehsas dil ko Das raha hai
tu mera ho ke bhi mera nahin hai
'shahab' ashaar tere paDh ke dekhe
haqiqat hai koi qissa nahin hai

Ghazal
Bhara ghar hai koi sahra nahin hai
Shahab Ashraf