bhar pae jaan-e-zar teri dosti se hum
jite rahe to ab na milenge kisi se hum
hain qafile ke sath magar hai rawish juda
milte hain sab se aur nahin milte kisi se hum
zikr-e-sharab-e-nab pe waiz ukhaD gaya
bole the achchhi baat bhale aadmi se hum
paband-e-dair ho ke bhi bhule nahin hain ghar
masjid mein ja nikalte hain chori chhupi se hum
duniya badal gai hai badal se gae hain kuchh
apni KHushi badal ke tumhaari KHushi se hum
jate kahan mila na phir apna pata kahin
pahunche to the bhaTak gae un ki gali se hum
'natiq' hami ko dil ne to kafir bana diya
ab kya kahen ki haar gae bidati se hum
Ghazal
Bhar pae jaan-e-zar teri dosti se hum
Natiq Gulavthi