bhar nazar dekhenge hum us ko mila jaanan agar
dewenge rone se fursat dida-e-giryan agar
hashr mein insaf to hoga wa-lekin us ko dekh
haal apna kah sakega aashiq-e-hairan agar
ai muslimanan karenge hum salam us dam tumhein
aa gaya idhar ko wo ghaarat-gar-e-iman agar
dil ko karte ho tawaqqo jab ke is gham se hae
ishq ke aaghaz ka hota kahin payan agar
ai 'raza' wadon se us ke aaj kyun hota KHarab
kal hi kar leta wafa ka us ki tu paiman agar
Ghazal
Bhar nazar dekhenge hum usko mila jaanan agar
Raza Azimabadi