bhar nahin paya abhi tak zaKHm-e-kari hae hae
dil ko thame hain lahu phir bhi hai jari hae hae
dard ka ehsas ghaT jata agar chahe koi
ho rahi hai aur ulTe dil-figari hae hae
jism to pahle hi zaKHmi tha magar baqi tha dil
ab adu ke hath mein KHanjar hai bhaari hae hae
hijr mein waise bhi aati hai musibat jaan par
par raqibon ki alag hai KHanda-kari hae hae
reza reza kar diya zalim ne sare jism ko
uD rahi hai KHak pairon par hamari hae hae
dil girafta ho ke chup baiThe hain shayad is tarah
rahm aae dekh kar surat hamari hae hae
dast-e-qatil said banne se nahin rukta kabhi
hai abas be-chaargi-o-ah-o-zari hae hae
jo parinde uD nahin sakte ab un ki KHair ho
aane wala hai isi jaanib shikari hae hae
rah se patthar uTha kar su-e-zalim phenk de
gar nahin tiron ki tujh mein zarb-kari hae hae
ek qibla ek azan aur ek majlis ek imam
kash aa jae samajh mein ye tumhaari hae hae
Ghazal
Bhar nahin paya abhi tak zaKHm-e-kari hae hae
Anees Ansari