bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara
main haar gaya jang magar dil nahin haara
raushan hai meri umr ke tarik chaman mein
is kunj-e-mulaqat mein jo waqt guzara
apne liye tajwiz ki shamshir-e-barhana
aur us ke liye shaKH se ek phul utara
kuchh sikh lo lafzon ko baratne ka saliqa
is shughl mein guzra hai bahut waqt hamara
lab khole pari-zad ne aahista se 'sarwat'
jon guftugu karta hai sitare se sitara

Ghazal
Bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara
Sarvat Husain