bhar gae zaKHm to kya dard to ab bhi koi hai
aankh roti hai to rone ka sabab bhi koi hai
pi gai ye meri tanhai mere dil ka lahu
qatra-e-ashk pe ye jashn-e-tarab bhi koi hai
maut se talKH hai shayad teri rahmat ka azab
jis ko kahte hain ghazab aisa ghazab bhi koi hai
roz gulshan mein yahi puchhti phirti hai saba
tere phulon mein mera ghuncha-e-lab bhi koi hai
us ke pahlu se bahut dur mere dil ke qarib
aisa lagta hai ki baiTha hua ab bhi koi hai
jo alamat ho tere halqa-e-ushshaq ke bich
tujh se nisbat ke liye aisa laqab bhi koi hai
'shahid' us silsila-e-ishq se wabasta hun
jis mein KHud 'mir' sa ek aali-nasab bhi koi hai
Ghazal
Bhar gae zaKHm to kya dard to ab bhi koi hai
Shahid Kamal