bhar din shabab ne ye un aankhon mein shoKHiyan
til bhar bhi ab jagah nahin un mein haya ki hai
phenk aae us ko ja ke wo ku-e-raqib mein
miTTi KHarab mere dil-e-mubtala ki hai
deta hun dil KHushi se meri jaan chhoDiye
is ko na lijiye ye amanat KHuda ki hai
tauba na munh lagaegi rindon ko duKHt-e-raz
qalib mein us ke ruh kisi parsa ki hai
tere hinai hath tak un ko hai dastaras
ai rashk-e-gul chaman mein ye qismat hina ki hai
lakhon shahid-e-naz gae hain jahan se
mulk-e-adam mein dhum tumhaari jafa ki hai
choTi ke sher tu ne kahe is zamin mein
sach hai 'wasim' teri tabiat bala ki hai

Ghazal
Bhar din shabab ne ye un aankhon mein shoKHiyan
Waseem Khairabadi