اردو हिंदी
Bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein | Shaahi Shayari
bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein

Ghazal

Bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein

Iftikhar Bukhari

;

bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein
do bunden meri hotin tere be-ant samundar mein

jo sairab karen teri sabza-gahen umr ke pani se
thoDi si hariyali hoti un ke zard muqaddar mein

jin aankhon se rangon wali barish ka ek wada tha
wo aankhen to miTTi ho gain subh-o-sham ke chakkar mein

aaj bhi dhup ke sajjade pe namaz-e-mashaqqat main ne paDhi
aaj bhi malik dozaKH rakh di tu ne mere bistar mein

kabhi kabhi is khoj mein dil ke darwaze tak jata hun
kis ne mujh se chhup kar meri umr guzari is ghar mein