bhanwar mein mashware pani se leta hun
main har mushkil ko aasani se leta hun
jahan danai deti hai koi mauqa
wahan main kaam nadani se leta hun
wo mansube hain kuchh aabaad hone ke
main jin par rae virani se leta hun
ab apne aablon ki ghaTiyon se bhi
samundar dekh aasani se leta hun
nahin leta magar lene pe aaun to
main badla aag ka pani se leta hun
nazar-andaz kar deti hai jab duniya
janam KHud apni hairani se leta hun
jahan mushkil mein paD jate hain gird-o-pesh
wahan main sans aasani se leta hun
lagata hai meri binai par tohmat
main fatwe jis ki uryani se leta hun
Ghazal
Bhanwar mein mashware pani se leta hun
Sarfraz Zahid