bhang khate hain na ganja na charas pite hain
hum wo bhanware hain jo ehsas ka ras pite hain
aap is Dhang se amrit bhi nahin pi sakte
jis hunar-mandi se hum ashk-e-nafas pite hain
sab yahin chhoD ke jaana hai KHabar hai lekin
phir ye hum kis liye duniya ki hawas pite hain
jo teri yaad ke kiDe hain badan ke andar
wo meri ruh ko khate hain plus pite hain
tab kahin hota hai ek shahd ka chhatta tayyar
an-ginat phulon ka KHun jab ye magas pite hain
aap ek bund bhi pi len to ghashi aa jae
gham ke aansu jo asiran-e-qafas pite hain
'faiz' ki fikr ki botal mein hai jo zahr-e-suKHan
dekhna hai ki abhi kitne baras pite hain

Ghazal
Bhang khate hain na ganja na charas pite hain
Faiz Khalilabadi