bhale hi mera hausla past hota
muqabil to koi zabardast hota
guzara to pahle bhi karta hi tha main
maza jab tha bilkul tahi-dast hota
teri dast-giri kahan aur kahan main
tera aasra hi sar-e-dast hota
main phuTa tha jis shaKH par ban ke konpal
usi shaKH mein kash paiwast hota
gilass ek tha pine wale kai the
to kya muntaqil dast-dar-dast hota
kahin hum ko be-daKHl kar de na koi
nahin hum se ghar ka dar-o-bast hota
tumhi ho jo lae ho mujh ko yahan tak
na tum nich hote na main past hota
kaha tu ne mana na afsos apna!
bulandi pe 'rashid' ba-yak-jast hota
Ghazal
Bhale hi mera hausla past hota
Rashid Mufti