bhala ye kaun hai mere hi andar mujh se ranjish mein
wo mujh ko hi ganwa baiTha na jaane kis ki KHwahish mein
samundar ek Thahra sa abhi tak hai tere andar
nadi ban kar mera bahna tujhe milne ki koshish mein
dariche par khaDe ho kar tujhe bas sochte rahna
bahut se kaam baqi hai bahut thoDi si barish mein
mera wo ruTh kar rona tera hans ke chale jaana
main tujh ko bhul na jaun tujhe pane ki sazish mein
kahin wo chir kar tera hi sina bhag na nikle
use aazad kar do ab jo barson se hai bandish mein
Ghazal
Bhala ye kaun hai mere hi andar mujhse ranjish mein
darshika wasani