bhala kah diya ya bura kah diya
jise jo bhi achchha laga kah diya
isi baat par wo bigaDne lage
ki hum ne unhen chand sa kah diya
meri aankh kuchh aisi bharma gai
dhuen ko bhi main ne ghaTa kah diya
KHuda hi samajhne lage KHud ko tum
kisi ne jo tum ko KHuda kah diya
jise sun ke aap itne na-KHush hue
wo hum bhi sunen hum ne kya kah diya
kiya zabt honTon pe main ne bahut
nigahon ne sab majra kah diya
suni dil se 'rana' jab us ne ghazal
to KHush ho ke sad-marhaba kah diya

Ghazal
Bhala kah diya ya bura kah diya
Rana Gannauri