اردو हिंदी
BhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun | Shaahi Shayari
bhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun

Ghazal

BhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun

Wali Mohammad Wali

;

bhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun
shoala namat jala dil tujh husn-e-shoala-za sun

gul ke charagh gul ho yak bar jhaD paDen sab
mujh aah ki hikayat bolen agar saba sun

nikli hai jast kar kar har sang-dil sun aatish
chaqmaq jab palak ki jhaDa hai tun ada sun

sajda badal rakhe sar sar-ta-qadam araq ho
tujh ba-haya ke pag par aa kar hina haya sun

yan dard hai param ka behuda sar kahe mat
ye baat sun 'wali' ki ja kar kaho dawa sun