bhaDkaen meri pyas ko aksar teri aankhen
sahra mera chehra hai samundar teri aankhen
phir kaun bhala dad-e-tabassum unhen dega
roengi bahut mujh se bichhaD kar teri aankhen
KHali jo hui sham-e-ghariban ki hatheli
kya kya na luTati rahin gauhar teri aankhen
bojhal nazar aati hain ba-zahir mujhe lekin
khulti hain bahut dil mein utar kar teri aankhen
ab tak meri yaadon se miTae nahin miTta
bhigi hui ek sham ka manzar teri aankhen
mumkin ho to ek taza ghazal aur bhi kah lun
phir oDh na len KHwab ki chadar teri aankhen
main sang-sifat ek hi raste mein khaDa hun
shayad mujhe dekhengi palaT kar teri aankhen
yun dekhte rahna use achchha nahin 'mohsin'
wo kanch ka paikar hai to patthar teri aankhen
Ghazal
BhaDkaen meri pyas ko aksar teri aankhen
Mohsin Naqvi