اردو हिंदी
BhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein | Shaahi Shayari
bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

Ghazal

BhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

Aziz Lakhnavi

;

bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein
kahan tak jazb hongi bijliyan sabr-azma dil mein

lahu rone lagenge saz-e-ishrat chheDne wale
are ye dard aawaz-e-shikast-e-shisha-e-dil mein

ye chhinTen KHun ki kafi hain mere baKHshawane ko
nazar aati hai jannat wusat-e-daman-e-qatil mein

abad tak kaukab-e-baKHt-e-saadat ban ke chamkenge
hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qatil mein

junun-e-be-sar-o-saman ki zinat dekhne wale
mabaada farq aae ishq ki tadbir-e-manzil mein

hazaron sal soz-e-dil ne ki thi dozaKH-ashami
qadam rakhte hi mere lag gai ek aag mahfil mein

magar bhule nahin ho yaad ab tak 'abr-o-'hamid' ki
'aziz' aaKHir wo quwwat kyun nahin baqi rahi dil mein