bhagte suraj ko pichhe chhoD kar jaenge hum
sham ke hote hi wapas apne ghar jaenge hum
kaTne ko ek shab Thahre hain tere shahr mein
kya bataen subh hogi to kidhar jaenge hum
dhup mein phulon sa murjha bhi gae to kya hua
shahr se honTon ke paimane to bhar jaenge hum
aaj gardun ki bulandi napne mein mahw hain
kal kisi gahre samundar mein utar jaenge hum
DhunDte khoya hua chehra kisi shishe mein kyun
jaante gar ye ki sae se bhi Dar jaenge hum
kuchh hamara haal bhi 'KHawar' hai kundan ki tarah
dukh ke shoalon mein jalenge to nikhar jaenge hum
Ghazal
Bhagte suraj ko pichhe chhoD kar jaenge hum
Badiuzzama Khawar